Job Kare Ya Phir Business Kare?

Job Kare Ya Phir Business Kare?

Hum log har jagah dekhte hain ke zyadatar log naukri karte hain. Par unko lagta hai, unke man mein hota hai ke naukri chhodkar Business shuru karein. Kya aap bhi kahin na kahin confuse feel karte hain, ke Job kare ya phir koi Business shuru kare? Agar aisa hai toh aaj main aapko Job aur Business ke baare mein thodi si jaankari dena chahunga, jisse ki life mein kya karna hai – yeh selection aapke liye thoda asan ho jaayega.

Job Kare Ya Phir Business Kare?

Aapko main batana chahunga ke aap naukri karke bhi kaafi achhi life ji sakte hain. Business mein kaafi achha paisa hai, par business mein risk bhi zyada hote hain. Business mein aapko kayi saari cheezein handle karni hoti hain. Business ke liye aapko sirf ek skill nahi, kayi skills chahiye hote hain. Business ache se chalane ke liye finance chahiye (sabse zyada zaroori), aapko business team manage karne ke liye leadership skills chahiye, aur sahi team members ka selection karne ke liye HR skills chahiye.

Agar sab kaam akele hi karne jaaoge toh exhaust ho jaaoge aur business ache se nahi hoga. Naukri mein aapke paas ek stable income toh shuru rahegi. Business mein upar neeche hota rehta hai, kayi utaar chadhaav dekhne hote hain. Business mein kayi baar fail bhi hote hain ya phir nuksaan bhi hota hai, aur agar yeh failure aapko affect karta hai, aap khudko motivate nahi rakh paate aur haar se, nuksaan se kahin na kahin ghabrate ho, toh business aapke liye bilkul bhi nahi hai.

Job karte waqt sochete hain ke meri wajah se company ko kaafi fayda ho raha hai aur agar yeh kaam main apne khud ke liye karu toh mujhe kaafi fayada hoga. Par yeh soch galat hai, kyuki aapki wajah se company ko fayda toh ho raha hai, par uski badi wajah yeh hai ke company ne itne saalo mein apni ek goodwill banayi hai.

Itne time mein company ne kayi profit loss, utaar chadhav, dekhe hain aur risk liye hain aur us wajah se company ko itna profit ho raha hai. Agar aap wahan nahi hote toh kaoi aur hota aur tab bhi company ko fayda ho raha hota aur unka business utna hi chalta.

Toh aap koi bhi decision lene se pehle upar batayi gayi baaton ko dhyan mein rakhein, thande dimaag se sochein, aur samjhein ke business aap bahar se dekhte ho toh kaafi aasaan lagta hai, par jab aap shuru karte ho, toh pata chalta hai ke kitna difficult, kitna mushkil hai business ko shuru karna, kholna, stable karna, banana, khada karna aur chalana.

Finally mein yehi kehna chahunga ke agar aap strong ho (financially aur mentally), aur failure aapko affect nahi karta, aap risk lene ka haunsla rakhte ho toh Business beshaq aapke liye hai. Aur agar nahin, toh Naukri mein hi aage badhne ki koshish karein.

Agar aapko yeh post pasand yaaya ho toh please social media par apne doston ke saath zaroor share karein.


यह भी पढ़ें:

Leave a Comment