Blog ya Website Traffic Badhane Ke Best Tarike

Website ya blog bana diya hai par hame traffic nahi mil raha kya kare ? Jo bhi naye blogger hai wo ye sawal aksar puchhte hai aur jaruri bhi hai. Agar aap achhi post likhte hai aur mehnat karte hai aur website par traffic nahi hai to blogger pareshan ho jata hai. Is liye jaruri hai hardwork ke saath aap thoda smart work bhi kare. Aaj me aapko website ya blog ki traffic badhane ke best tips dunga jis se aap apne blog ko grow kar sakte hai.

Website Traffic Badhane Ke Best Tarike

Blog aur website maintain karne me aapko hardwork, patience aur smart work ye chize honi jaruri hai. Aap kro blog par dhire dhire kam karte rehna hai aapka blog 100% sucessful hoga bas himmat nahi harni hai. To aaj me aapko kuch tips bataunga jo aap apne blog par jarur try kare.

Post Content

Quality of post sabse importanant hai website traffic badhane ke liye. Aapko visitor aur SEO dono ko dhyan me rakh kar post likhni hai. Kabhi bhi aapko post ki quality ko compromise nahi karna hai.

SEO & SMO

Aap jo bhi content likhe wo SEO Friendly hona chahiye aur aapko social media me bhi usko achhe se promote karna hai. Twitter kafi achha platform hai aur waha se aap achha traffic apne blog par drive kar sakte hai. Aapko twitter me apni profile picture, bio aur website link update karni hai. Aap jitne active tweet karenge utna aapke liye traffic gain karna asan rahega. Koi bhi achhi information hai to wo aapko retweet karni hai aur aap jab bhi apni website ki post share kare to image jarur use kare jo aapko traffic gain karne me helpful hoga. Aur sabse khas baat aap jis bhi topic par likh rahe hai us se related (#) hashtag jarur use kare. Facebook sabse jyada use kiye jana wala social media platform hai. Agar aap Facebook ka achhe se use kare to aap achha traffic apne blog par drive kar sakte hai. Facebook me aapko blog ka ek page banana hai aur aapke user ke saath engage rehna hai unko koi question ho to usko answer karna hai aur aapko waha se bhi traffic milna shuru ho jayega. Youtube ek bahot bada platform hai agar waha par information video aur guidance video banakar upload kare to youtube se bhi aapko kafi achhe viewers mil jayenge. Aur aapka ek loyal visitor base build hoga.

Comment

Aap ka jo niche hai uske blogs aap padhte hi honge bas aapko waha par comment karna hai. Comment karnse aapke blog ka brand bhi bangega aur aap bloggers ke saath achhe relation bhi banayenge aur saath me aapke blog ka back link bhi generate hoga. Ye continous process hai aur isko aapko skip nahi karna hai. Regularly aap comment karte rahiye aap ko dhire dhire blog par traffic badhta hua dikhega.

Guest Posting

Guest post sabse badhiya tarika hai website par traffic generate karne ka. Aap ko aap ki category ke jo blogger hai aur popular hai unke blog par guest post karni hai. Guest posting se aapke blog par hazaaro vistor aa sakte hai aur ye sabse effective tarika hai website traffic badhane ka. Guest posting se aapke blog ko back link bhi milega aur aap ko field ke expert ho aur log aapko pehchanane lagenge.

Aap ko bata de ki aap Hindi Sudha ke liye bhi guest post likh sakte hai guest posting kaise kare aur rules padhne ke liye niche di gayi link par jaye. Aap batayi ye ke aap apne blog par traffic kaise generate karte hai aur koi point agar maine miss kar diye hai to aap comment karke bata sakte hai.

Agar aapko ye post se kuch sikhne ko mila hai ya phir aapko fayda hua hai to ye post social media me jarur share kare.


यह भी पढ़ें:

Job Kare Ya Phir Business Kare?

Leave a Comment