Google Adsense Account Banane Ki Puri Jankari


Google Adsense Account Banane Ki Puri Jankari

Google Adsense ke baare me aapko bata de ye service google ki hai. Google Adsense me google publisher ki site par advertiser se advertisement lekar advertisement chalta hai aur publisher ko in me se kuch portion deta hai aur kuch portion apne pass rakhta hai. To Agar aap website owner hai ya phir youtube channel hai to aap publisher hai. Google Adsense ek safe raasta hai aapke blog ya phir youtube channel se paisa earn karne ke liye par jab ek baar sab sikh lete hai to aap dhire dhire affiliate marketing me try kar sakte hai. Kyonki affiliate marketing sabse badhiya option hai jyada income karne ke liye. Par agar aap ne abhi shuru hi kiya hai aur aapke pass jyada content nahi hai to affiliate marketing se aapko jyada income nahi hogi. To aise me aapke liye Google Adsense hi sabse badiya option hai.

Google Adsense Account Kaise Banaye?

Google adsense account aap apne blog ya phir youtube account ke liye bana sakte hai. Google adsense account aap apne name par ek hi bana sakte hai. Jyada account banaye to aap ko wo log block kar denge phir aap kabhi bhi google adsense me account nahi bana payenge. Haalaki Google adsense apne family members ke naam se bana sakte hai par is me logo ki alag alag rai hai to agar aap ek hi account rakhe to achha hoga. 

Google adsense google ke dvara di janewali service hai to aapko google adsense ke liye sabse pehle gmail account chahiye agar aap ke pass gmail account nahi hai to sabse pehle bana lijiye. Agar aapko nahi pata gmail account kaise banate hai to niche di gayi post padh lijiye. 
 
Dosto ham aapko aaj yaha par blog ya apni website par google adsense account kaise add kare uske bare me batayenge. Youtube me google adsense kaise add kare u ke bare me hum agali aane wali post me aapko batayenge. To google adsense me account banane ke liye sabse aapko chahiye ek blog ya phir ek website. Agar aapke pass blog nahi hai aur aapko pata nahi hai blog kaise banate hai to aap ye post padh sakte hai. 

Ab blog banane ke baad aapko chahiye achhi traffic.Agar aap ke pass blog hai aur achhi considerable traffic hai aapke blog par to aap google adsense ke liye apply kar sakte hai.

Google Adsense Account Banane ki Puri Jankari Step By Step

Google Adsense Account Banane ki Puri Jankari Step By Step

Google adsense account activate karnke liye aapko 2 steps follow karne honge.

  • Adsense sign up kare
  • Adsense code apne blog/website par add kare

Jab aap adsense code apni website/blog me add kardenge phir adsense ki team aapki website ko review karegi. Adsesne team 2 ya 3 din me aapko jawaab de degi.

Signup on Adsense

Sabse pehle aap google adsense me signup kijiye. Aapko do option dikhayi denge, ek “Sign In”, dusra “Create Account”. Agar aapke pass gmail account hai to sign in par click kijiye aur agar aapke pass gmail account nahi hai to create account me jakar account create kar lijiye.

Website Information

Is step me aapko apni website ki details fill karni hai. Jaise ki mydomain.com ya phir www.mydomain.com

Contact Information

Yaha par aapko sahi information fill karni hai. Agar aap galat information fill karte hai to baad me aapko pareshani hogi. Aap ko pehle Account Type Select Karna hai Business account hai ya Personal Account. Agar Aapki firm hai to aapko business account select karna hai aur agar aap apne personal name se payment chahte hai to Personal Account Select kare.

Payee Name me aapko jo bank account me naam hai wo exact name likhna hai. Kyonki google usi naam se check bhejta hai ya phir usi name se wire transfer karta hai. Aap ne ek baar Payee Name Add karne ke baad use change nahi kar sakte. Ek baar aur yaad dila du ki Aapka Payee Name aur Bank Account Name Same hona chahiye.

Baki ki jo information di hai wo common information aap ko fill karni hai aur aapko adsense policies ko accept karna hai. Aur application submit kar dijiye.

Adsense code apne blog/website par add kare

Adsense code apne blog/website par add kare

Aap ki application submit hone ke baad google aapko email karega ki aapne first step pass kar liya hai ab aap apne adsense account me jaye aur advertisment code apni website me add kare.

Ab aapko adsense dashboard me jaye aur My Ads >> New Ad Units par click kare.

Aur aapko alag size, style aur type ki ads aapko dikhegi. Google adsense advertisement me aapko detail me aanewali post me bataunga. Abhi hum sirf adsense ko application ke bare me hi discuss karte hai.

Ab aapko ad ko koi bhi name dena hai jo sirf aapke liye hi hai. Aur aapke management ke liye hai. Ad Ka name dene ke baad aapko koi ad size select karna hai. Ad Size select karne ke baad aap Ad type select kare. Aur back up ads me aap blank space rakh sakte hai ya phir apna koi ad select kare. Ab aap ne sab step pure kar liye hai aur aapko sirf “Save” karna hai. Aur niche diye gaye code ko copy karna hai.

Jab aap code ko copy kar lenge baad me aapko wordpress dashboard me jaye Appearance >> Widget par click kare. Aur jaha par aapko advertisement dikhani hai waha text box rakh ke code ko paste kar de.

Ab google adsense team aapki website ko review karegi aur aapko 2 se 3 dino me aapko approve ya reject me answer kar degi.

Me asha karta hoon aapki adsense jaldi se approve ho jaye aur aap achhe se paise earn karne shuru karde. Agar aapko ye information useful lagi to apne friends ke saath social media aur whatsapp me ise jarur share kare.

Aap ko koi prashna ya koi duvidha hai to aap niche comment box me puchh sakte hai me aapke prashno ka jawab jarur dunga.


यह भी पढ़ें:




Leave a Comment