Upwork Website Se Paise Kaise Kamaye?

Kya aap online work dundh rahe hai jis se aap monthly achhi income kar sake? Agar Ha to aap ke liye aaj me badhiya post lekar aaya hoon. Aaj hum baat karenge upwork website ke bare me. Pehle jo Elance aur oDesk website thi wo merge hokar Upwork kar di hai. Basically upwork ek freelancing website hai. Agar aap chahte hai ki aap apna work online khud kare aur koi aapka boss na ho to upwork ek behtarin website hai. Upwork me aap jo chahte hai wo kaam, aapke apne time par aur aapke pasand ho aise client ke saath kar sakte hai.

Upwork me aapko sabhi tarah ke kaam mil jayenge jaise ki logo design, website design, article writing, file conversion, data entry, internet research, voice make over and intellectual property rights. Upwork me kafi aise freelancer hai jo aram se monthly 1-2 lac rupees earn karte hai.

Upwork Website Se Paise Kaise Kamaye?



Upwork me paise kaise kamaye?

Upwork me sabse pehle aap apne profile hai wo 90% tak complete kar de. Kyonki aapka profile hi aapki identification hai. Agar aap apne profile complete fill karte hai to aap kaha se ho, aapki skills aur work history ko dekh kar client aapko kam dega.

Jo bhi aapki skills hai us se judi test hoti hai to aap jitni ho sake utni wo test pass kar lijiye. Agar aap wo test pass kar lete hai to jab client koi work post karta hai to upwork aapko skill ke hisab se client ko recommnend karega.

Ab bari aati hai price ki ke price kaise decide kare. Aap ko dusri profile me skill aur past history ke hisab se kitna charge karte hai wo dekh lijiye. Aur phir aap apne skills aur ability ke hisab ke hisab se charge kar sakte hai jo ki market ke hisab se fair ho.

Cover letter likhna bhi bahot jaruri hota hai. Kai job me ye mention karte hai ki aapko cover letter ke saath code work likhna hai. Ye is liye hota hai ki taki jo bhi log copy aur paste karke cover letter likhte hai unko filter kar sakte. Aur pehchan sake ke ki jo bhi project ki description hai wo achhe se padhi hai.

Aap ko client ke saath clearly sab chiz puchhni hai jaise ki exact project requirement aur aapko project complete karne me kitna time chahiye. Agar aap kahi aur kaam karte hai aur aap kitna time de sakte hai uske hisab se aap commit kare.

Also Read: Jio Phone से पैसे कैसे कमाए (2022 में Online ₹7000)

Upwork me payment kaise milta hai?

Upwork me aap ko do tarah se payement milenge. Ek hai fixed rate payment aur hourly rate payment.

Hourly Rate Payment

Ye hourly rate payment me software jab aap kam karte ho tab kisi bhi samay aap ke kaam ka screenshot jab aap kam kare rahe honge. Aur aapke upwork balance increase hota rahega per hour basis pe.

Fixed Rate Payment

Ye method me aapko client jab aap kaam complete karoge to aapko payment karega. Par aap kuch hissa prepayment ke taur par mang sakte ho kaam shuru karne se pehle. Upwork me ek feature hai escrow jis se aapko client ko pay karna hi padega.

Aap ka balance jaise hi upwork me available ho uske 6 din baad aap usko apne bank account me ya phir paypal account me transfer kar sakte ho.

Agar aapko ye post se kuch sikhne ko mila hai ya phir aapko fayda hua hai to ye post social media me jarur share kare. Aur aapko koi question hai to niche comment box me jarur puchhe.

अगर आप इंटरनेट के ज़रिए पैसे कमाना चाहते हैं, तो HindiSudha Blog पर आकर मूल्यवान सुझाव और सलाह ज़रूर लें। इस जगह पर, हमारा लक्ष्य आपको इंटरनेट का उपयोग करके अपने घर बैठे आराम से पैसे कमाने के विभिन्न तरीकों के बारे में विस्तृत जानकारी प्रदान करना है। अगर आप अपने घर बैठे आराम से पैसे कमाने में रुचि रखते हैं, तो हम आपको ऐसा करने के लिए ज्ञान और कौशल प्रदान कर सकते हैं।



 

यह भी पढ़ें:

 

 
 
 
 

Leave a Comment